Thursday, May 15, 2008

Shyari VOL 24

Muqadar k sitarun per..
zamany k isharun per..
udasi k kinaron per.
kabhi veeran shehraun mai

kabhi sunsan rastun per..
kabhi hairan ankhun mai

kabhi bayjaan lamhoon per..
tumhari yaad holy se
koi sargoshi kerti haiye palkain
bheeg jati hain

ansoon toot girty hain.
mai palkun ko jhukata hun
bazahir muskurata hun..
faqat itna he kehta hun
mujhy kitna sataty ho
mujhy tum yaad atay ho

No comments: