Monday, May 12, 2008

SHYARI VOL 5

Bikte hai gum husn ke bazaar ,
me lakho dard chipte hai ek chote se inkar me ,
ho jao ager jamane se khafa ,
to swagat hai hamari dosti ke darbar me
---------------------------------------------
Tanha rehna to seek liya hamne ,
par khush na kabhi reh payenge ,
teri duri to phir bhi she leta hai yeh dil ,
par teri dosti ke bin na jee payenge
-------------------------------------------------
Roz kisi ka intzar hota hai ,
roz ye dil bekrar hota hai
kaash ke koi samajh pata ki
chup rehne walon ko bhi kisi se pyar hota hai
---------------------------------------------------
Khamosh the hum to magroor samaj liya ,
chup hai hum to majbur samaj liya ,
yahi aapki galti hai ke
hum karib the aur dur samaj liya
--------------------------------------------------
Askho se nahin bujte shole dard-e-pyar ke,
Maut bhali aise lambe intezaar se,
Marte hai rooz bina deedar-e-yaar ke,
Tanha hi ache the uss bewafa ke pyar se.
--------------------------------------------------
Rulane Se Pehle Ek Baar Hasaya Hota,
Kasoor kya Tha Is Dil Ka Bataya Hota,
Mili Saja Us Khata Ki Jo Ki Na Hamne,
Kash Us Bewafa Se Dil Na Lagaya Hota
---------------------------------------
Lafz aap do geet hum banayenge ,
manzil aap pao rasta hum banayenge ,
khush aap raho khusiya hum lutayenge ,
aap bas dost bane raho dosti hum dil se nibhayenge

No comments: