Thursday, May 22, 2008

Shayari VOL 53

Zamane ne mujko thukra diya hain
Maut ke aur kareeb la diya hain

Kabhi mud ke jo peeche dekhta hoon
Sochata hoon, duniya ne mujhe kya diya hain?

Woh jisne mohabbat ki baazi na kheli
Kya khaak zamane mein woh insaan jiya hai

Hamari tumhari kuch alag baat hogi
Ishq to duniya mein bahuton ne kiya hai

Bin piye jo main ladkhadda raha hoon
Yeh aankhon ne teri bataa kya kiya hai

Manzil ki talash mein gaya tha musafir
Raaste ne khud usko bhatkaa diya hai

No comments: