Faqat ek khwaab ki chaah mein har haqeeqat bhula di hum ne
Ab sochtay hain kyon khud ko yeh saza di hum ne
Dono hi qaid rahay apni anaa ke hisaar mein
Na us ne murr ke dekha na sada dee hum ne
Is umeed pe ke kabhi tu shab-e-gham ki bhi sehar hogi
Tamaam umer tairgee mein hi bita dee hum ne
Rishtay bhi ajnabi thay ajnabi dayaar ke
Wohi dushman-e-jaan huwa jissay dil mein jaga di hum ne
Ehl-e-duniya dushmani jane kis tarhaan nibha letay hain
Ek dosti nibhaanay mein umer ganwa dee hum ne
Zindagi pehlay bhi kuch itni sehal nahee thee
Phir tujhe chaah ke aur bhi mushkil bana lee hum ne
Un ko bhi ho khabar yeh zarori tu naheeJ
in ki khaatir apni hasti hee mitta dee hum ne
No comments:
Post a Comment