Ho ker Zameen Ka, Aasmaan Ki Chaah Kyun Karoon
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon
Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon
Aman Ko Mere Chot Lagay gi Gar Tu Na Mili
MujheTujhe Apna Bana ne Ki Phir Dua Kyun Karoon
Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon
Farishtay Bhi Tadap Jaatay Hain Jab Teree Aankh Se Ashk Chalaktay Hain
Yeh Dard Tujhe De ker Main Koi Gunnah Kyun Karoon
Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
Main Phir Tera Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon
Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam TeraMain Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon
Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon
Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon
Joo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon
Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon
Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Tera Banjaoun Kabhi
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon
Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere, Itna Rulaaya Hai Mujhe
Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyaar Kyun Karoon
No comments:
Post a Comment