Monday, August 31, 2009


Khayalon mein aata hai jab uska chehra,

to labon pe aksar fariyad aati hai,

hum bhool jatey hain uski bewafai ko,

jab uski mohabbat yaad aati hai

Sunday, August 30, 2009

Dil se dil ko juda kijiye,
soch samazh kar faisla kijiye,
agar aapney jeena sikh liya hai hamarey bina,
to hamarey bhi jiney ki dua kijiye

Saturday, August 29, 2009

Tumsey dur janey ka iraada na tha,
sada saath rehne kaa bhi vaada na tha,
tum yaad naa karoge ye jantey thay hum,
par itni jaldi bhul jaogey ye andaza na tha

Friday, August 28, 2009

Faasley mitakar dilon mein pyaar rakhna,
is dosti ko sada barkaraar rakhna,
jo bichad jayein hum-tum kabhi,
to phir milenge bas ankho mein hamara intezaar rakhna

Thursday, August 27, 2009

Ek sa dil sabke pass hota hai,
fir kyu nahi sabpey vishwas hota hai,
insaan chahey kitna hee aam kyu naa ho,
wo kisi naa kisi k liye jarur khaas hota hai

Wednesday, August 26, 2009

Intezar


Na Aaya Taras Unhe Bhool Kar Bhi Kabhi..
Ki Khaak Ho Chale Hum Intzaar Me Unke…

Waqt Ki Na Kuch Bhi Kadar Unhe…
Saanjh Se Phir Ho Chali Sehar, Intzaar Me Unke..

Aayenge To Kuch Aisi Ada Se Woh..
Ki Kuch Kiya Nahi, Intzaar Ne Unke..

Bebas Dil Ki Sada To Dekhiye..
Shikva Bhi Na Kar Paaye Hum, Intzaar Me Unke..

Aansoon Bhi Pooch Kar Aate Hain.. Ki Aa Jaayein Kya Hum..
Bheegi Palkein Bardaasht Nahi Unhe, Intzaar Me Unke..

Katl Karte Hain Woh, Aur Saza Bhi Humein Hi Sunaate Hain..
Ab To Fana Ho Chale Hum, Intzaar Me Unke…

Tuesday, August 25, 2009


Gunah Karke Saza Se Darte Hain,

Pee Ke Zahar Dava Se Darte Hain,

Dushmanon Ke Sitam Ka Khauf Nahin Humko,

Humto Dosto Ki Bewafai Se Darte Hain

Monday, August 24, 2009


Un Logo Ka Kya Hua Hoga,
Jinko Meri Tarha Gum Ne Mara Hoga,
Kinare Par Khade Log Kya Jane,
Dubne Wale Ne Kin-Kin Ko Pukara Hoga..!



JAATE HO FIR U HAATH HILAANA KISLIYE
DIL HI JAL UTHE HAIN TO AASHIYANA KISLIYE

DOSTON KE BEECH ME SHARM-O-HAYA HOTI NAHI
DAGAA KI MUJHSE TO KYA NAZRE CHURANA KISLIYE

TUM JO KAHOGE TO BADE SHAUK SE MAR JAUNGA
YU ZAMI PE NAAM LIKH LIKH KE MITAANA KISLIYE

Friday, August 21, 2009



MUDDAT SE THI KISI SE MILNE KI AARZU,
KHWAHISH-E-DEEDAR ME SAB KHUCH GAWA DIYA,
KISI NE DI KHABAR K WO AYENGE RAAT KO,
ITNA KIYA UJALA K GHAR TAK JLA DIYA.

Thursday, August 20, 2009


Aankhen aapki ho, par aansu mere,
Zindagi aapki ho, par saanse meri,
Dil apka ho, par dhadkan meri,
Zindagi ke akhri modh par duaa hogi yehi,
Kafan aapka ho, aur maut meri......

Wednesday, August 19, 2009


Teri aankhon ki chamak aisi.
Jaise ambar main chamke taara.
Tere chehre ka noor aisa.
Jaise chand ka janam dubara.
Tu bhand aankh ka khowaab ho
Ya jaanat ka koi nazara ho ?

Tuesday, August 18, 2009


Aankhein band kar ke rota hu,
to lagta hai tujhe mein roya nahi.
Sadiyon tak jaaga hu mein;
tere intzar mein soya nahi.
Pyar mein paaya kya hai yeh mujhe maalum nahi hai,

Per tere siva zindgi mai maine kisis bhi cheese ko khoya nahi

Monday, August 17, 2009


Humare Anso Pooch Kar Wo Muskurate He
Esi Ada Se Wo Dil Ko Churate He,
Hath Unka Chu Jaye Humare Chehre Ko..

Isi Umeed M Hum khud ko Rulate He

Sunday, August 16, 2009


Jinki ankhe aansu se nam nahi,
kya samajte ho use koi gum nahi,
tum tadapke ro diye to kya hua,
gum chupake hasne wale be kam nahi..

Saturday, August 15, 2009

Shayari on the last day of college

Raah dekhi thi is din ki kabse,
Aage ke sapne saja rakhe the naa jane kab se.

Bade utavle the yahaan se jaane ko ,
Zindagi ka agla padaav paane ko
..Par naa jane kyon ...Dil mein aaj kuch aur aata hai,
Waqt ko rokne ka jee chahta hai.

Jin baton ko lekar rote the Aaj un par hansi aati hai ,
Na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai .
Kaha karte the ....Badi mushkil se char saal seh gaya ,
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya .

Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi,
Yaadien jo ab jeene ka sahara ban gayi.
Meri taang ab kaun kheencha karega ,
Sirf mera sir khane kaun mera peecha karega.

Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega,
Kaun raat bhar saath jag kar padega
KAUN MERI gaadi mujse pooche bina lejayega ,
Kaun mere naye naye naam banayega .

Mein ab bina matlab kis se ladoonga,
Bina topic ke kisse faalto baat karoonga ,
Kaun fail hone par dilasa dilayega,
Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega ..

Tapri mein Chai kis ke saath piyoonga ,
Wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga ,
Aise dost kahaan milenge Jo khai mein bhi dhakka de aayein,
Par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein.

Mere gaano se pareshaan kaun hoga ,
Kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga ,

Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai ,
Kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai .

Movies mein kiske saath dekhhonga,
Kis ke saath boring lectures jheloonga ,
mere farzee certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega ,
Bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega.

Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hasna,
Na jaane ye fir kab hoga ..
Doston ke liye professor se kab lad payenge ,
Kya hum ye fir kar payenge,

Raat ko 2 baje poha khane station kaun jayega ,
Tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega .

Kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
,Aur jyada hawa mein udne par zameen pe layege ,
Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga ,
Mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga...
KEH DO DOSTON YE DOBAARA KAB HOGA ????

Friday, August 14, 2009

Hum to har ek ko apna kar rishta banate gaye

Jahan Jahan se Guzre apni yaad chodte gaye

Par kismat ka likha bhi ajeeb hai.

Gunehgar koi aur hum saza paate gaye

Thursday, August 13, 2009

Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai

pyas bujhti nahi ke barsat guzar jati hai

Apni yaadon se keh do ke yun na aaya kare

neend aati nahi aur raat guzar jati hai

Wednesday, August 12, 2009


Sabse dard chupana hee achha hai
Jisko b bataya wo muskuraya bahut
Teri khata nahi ye reet hai duniya ki
Ki apno ne b hume aazmaya bahut....

Tuesday, August 11, 2009

Shayari


Aaj uski yaado ne tarpaya bahut
Aaj na chahte hue b wo yaad aaya bahut
Uske jane k baad to akelepan se dosti ho gayi thee
Phir kyo tanhaiyo ne aaj daraya bahut.....

Monday, August 10, 2009


Gum-e-zindagi k maare hai
Har baazi jeet k haare hai
Meri jholi mein jitne patthar hai..
Sab mere doston ne hi to maare hain

Sunday, August 9, 2009


Apni to zindagi hi ajeeb kahani hai,
jis cheez ko chaha wo hi begani hai,
haste hain to sirf duniya ko hasane k liye,
warna in aankhon me pani hi pani hain.

Saturday, August 8, 2009



Koi to pooche kyo udas hoo mai,
Koi to ho jiske liye khaas hoo mai,
Ye zindagi gumo ka ek samandar hai,
Aur lagta hai us samandar ki pyas hoo mai........

Friday, August 7, 2009

Haseeno ka kafila


Haseeno ka kafila masjid ki aur ja raha tha,
hamne bula liya.
Hum toh barbad ho chuke the sanam,

Khuda ko barbad hone se bacha liya

Thursday, August 6, 2009


Har ek jajbat ko juban nahi milati,
Har ek arjuko dua nahi milati,
Musakan sajaye rakho to duniya hai,
Wara na asuo ko bhi aankho me panah nahi milti

Wednesday, August 5, 2009


Sabse chhupa kr jo wo dard muskra diya
Uski hansi ne aj muje rula diya
Lehje se uth raha tha har 1 dard ka dhua
Or keh raha tha k sab kch bhula dya

Tuesday, August 4, 2009


Chaman ko sajaaye bahut din ho gaye,
tumhe paas bulaye bahut din ho gaye.
Kisi din achanak chale aao tum,
humme muskuraye huye bahut din ho gaye.

Monday, August 3, 2009


Aaati hai boo tujhse saraafat ki
Tu bada namuraad insaan hoga.
Jaa kahi utaar ke aa ye sharafat ka chola
Tab tu bhi kisi shehar ka emaam hoga.

Sunday, August 2, 2009

Birthday Shayari

Hamari to duaa hai, koi gila nahi
Wo gulaab jo aaj tak khila nahi
Aaj ke din aapko wo sab kuch mile
Jo aaj tak kisi ko kabhi mila nahi
***** Happy Birth Day To You *****
------------------------------------
Dua hai Ki Kamyabi ke har sikhar pe aap ka naam hoga,
Aapke har kadam par duniya ka salam hoga,
Himat se mushkilon ka samana karna hamari dua hai ki
Waqt bhi ek din aapka gulam hoga. Happy Birthday
-------------------------------------
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi accha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du...
Junam Din Mubarak Ho
---------------------------------------

Saturday, August 1, 2009


Janay Ab Woh Kesi Hogi

Arsa beeta hai bin daikhay,
Janay ab woh kesi hogi,
Us kay hathoon ki musjharahat main,
Ik Jhalak shayad meri bhi hogi

Pagal woh kar daiti ho gi,
Ab bhi jab woh hansti hogi,
Mujhko to Namanzur kiya,
Khud bhi shayad roti ho gi

Jis din us'say miLna hoga
Shaam bhi us kay jesi hogi
Dulhan ban kay woh is dil main
Socho kesi Lagti hogi,

Jin hathon ko mainay chooma tha
Unko ab tak takti hogi,
Sun kar mera nam woh shayad
Ik Lamhay ko sochti hogi
Janay ab woh kesi hogi